auto_stories
Book Reader
Meri Maa Jiasey Ho tum,Wo Kehti hay,Ke Beta AJ parah parh ke aaio,Kheer Bana ke dun Gi,Aur Tum kehte ho,Mujh Sey Baat Karo gey,Tu Qareeb ho ke sunun Ga,..
Ik Din Kehne Lagi, Jaio Nmaz Parh ke aaio,AJ Kheer Nahi Miley Gi..
Main Ghar Sey Nikla Socha Kheer Tu Milne Sey Rahi,.
Chalo AJ Zara Ghoom Phirr Lun,.Zara Ghoom phir liyaa..
Fir Kiya Tha,Main Ghoom Phir ke Aaya,Tu Dekha Kheer Bani Thi,.
Ab Btaio,Aesa Krta hay,koi..
Kahey ke Marr dun Ga,Aur 60,70 saal Ki Umer Bakh-shish mein dey deeyy..
Us din ke Baad lalchi Hogeya Hunn...
Abb Maa Kheer dey na Dey..
Aajata hun,Batain krney..
You know What.. mein Buhat Ziada Darpook Hunn...
Tum Tu Jante hi Ho...
Dar Jata Hun yar..
Baar Baar Har Baar..
Chalo koi Naa,Khair hay..
Acha Suno,Suna hay,Mohsin Shrab peeney laga hay besharam,.Maine pocha pi ke kaisa lagta hay..
kehney laga bilkul waisey hi lagta hay jaisey Momin bandey sey Gunah ho jiay tu usey lagta hay..
Sharaab bhi koi peeney ki chiz hay,.Waaisey hi Banda Angurr kha ley,.Zror usy Ganda kar ke,Uska juice peena..
mera khayal rekhi,Har Trha sey khayal..
Acha Beth ke,Itna Kaisey sun Laitey ho..
Mein Pata Bhut Kum Kum Bolta hun..
Magar Tumharey Samney Dekho Tu, Bolte Bolte Zuban Nahi Ruktii..Khair Wo AJ Dikhiii...
Ab pocho gey wo kon,Wahii,,.han Wahi wahii...
hogey na confuse..,wo tu mein bhi hun,..kyon ke usy Aj hi dekha,aj sey pehle nahi,..
Aur pehli hi nazar mein kho geya...Aesa khoya ke,Tumhara Discount Bhul geya,..Acha khair,.
us rang ko kiya kehte hain,. jo Aasman jaisa hota.. hannn Aasmani. Rang ka jora pehna tha us ney,.Jora means Dress,.Dress hii kehtey hain,Baqi Smj loo..
Acha Okay,Love You,Aata Hun Phir Hoti Mulaqat ..
.....
Tumhara Discount Istemal Krney laga hun,Ik Nazar Dekhta Hun,Dosri Nazar Dekh ke Gunahgar Nahi Hota..
Ab Kaho gey,Wo Ik Baar ka discount,Aesa Nahi ke Jan Bojh key Dekh lo,Wo Tu bus Nazar parh Gi,.Tu Nazar Jhuka lo,..
Tu Haan na,Preshani Ki koi Baat Nahi,Wo Chal ke Aarhi ho,Tu Uski Aa-hat Ko Pehchan Laita hun,Aur Phir Nazar Bus parh Jati hay..
bus ik nazar dekhta hun,Discount ka Abuse nahi krta..
Mujhe Wo Achi Lagne Lagi hay,
Pata Nahi Mera Dil Ziada Hath Sey Bahir hay ya Phir Tum Ney us mein Muhabbat Dali hay,Mein Us Sey Baat Krna,Us Ke Sth Waqt guzarna Chahta Hun...
Krna tum wahi Jo Tumhain Munasib Lage,Merey Munasib ka Bhi Tum Zara Khayal rekhna ....
Aur agr us ke Dil mein koi jazba Nahi paidda Huva Tu us ke Dil mein Bhi dal Doo na..
Tum Mujhe buhat Achey Sey Jante ho,Aesa Nahi Hun,Dil-Lagi Kar ke Bhag Jioun,Sth Sth Chalne Wala Aadmii hun,.
Baqi Ap Dekh Lein,Jaisey Apko Sahi Lagey..
Maine Tu APNI Kar Li hay Baat..
Mulaqaat khatam huvi,
Agli Mulaqat ka Rahe Ga Mujhe intezar
Acha Theak Phir Hoti Mulaqat,..
.....
Ye Tu koi Baat na Huvi...
Mujhe Abhi Tak Uska Naam Tak Nhi pata..
Khala Sey Maine Pochna Chaha Uska Naam Kiya hay.
Unho Ney Kuch Khas Btaya Nahi,Bus Itna Bata Diya ke 4 Bhn bhai Hain..
Is Sey Aage Btane hi wali thi keh..
Kambakht Asad Gira Aur rone lag Geya Khala Whan Chali Gii..
Ab Agr Dobara Pochun Ga Phir Tu unke Zehn mein. Aaiay Ga kyon Poch Rha Hun meinn...
Abb Mujhe Nahi Pata Kuch Karo Tum.
Ibtada tu naam sey hi hoti hay,
Lgaio na Koi Jugaad
Ibtda krvaio Naa...
Asal Baat Tu ye hay ke mein Tumharey pas Aata hun..
Jabhi Tu.
Khush Khush Rehta hay Tu.
Magar Phir..
Magar, Acha Theak.
Suno Tuu..
Achey ho Bhut Tum..
Theak hay..
Acha Phir Hoti hay Mulaqat...
.....
Wah re Merey Pyaare Dost aj Tu kamal hi kar Diya tum Ney...
Thank You,,Thank you, Thank you....
Mujhe Uska Naam Pta Chal Geya...
Faareha.....
Naa baba Naa, Maine Poora Nhi Btana Abb..but Thank you...
AJ Mujhe Itna Pyaar Aarha na Tum pe...
Ke lafzon mein byaan Krna Chahun Tu ho na paiay. waisey Bhi tum naa,Tu na-aashna ho Merey Hal Sey....
Pata Tumhain Sub mgr Sun,Ni Hay,ke Banda kab Aaiy Aur Btaiay Huva Kiya hyy..
Achey Tu ho Bht,Magar Khalid Chacha tu Kehte hain ke Tum Zalim Bhut ho,Lagtey Tu Nhi ho Bilkul Bhi,
Waisey bhi tum Itny Great ho..
Ke Khud Pe Baat Nhi Aane Daitey tumm...
Jab Kisi shaks Ki Khani khatam Krni ho tum Ney Kuch na Kuch aesa krtey ho ke Log Ending pe Baat krtey Rhain tum pe na Jain...
Abhi Nmaz prnhney Sey Pehle Akram Sahb ka Janazah Prhta Aaya hun mein..
Sub Baat kr rhy thy ke Dil ka Dora para Aur Akram Chacha foot Hoge..
Ye Kisi Ney Nahi Kha..
Ke Writer Ney Ending Zara Tradgic Likhi Thi...
Dekho Tu Khud Pe Baat bhi Nhi Aane dii...
Haan Acha Meri Baat suno tumm..
Aj sey Tum nahi App kahun ga,.Ziada free horha hun,tu lagta hay kabhi kabar,.Ke Ziada free nahi hotey,Aesi bhi ab baat nahi,free hotey hain,magar adbo aadab
bhi tu kisi kabutar ka naam hota,.Acha kabhi Tumm, Kabhi App..Okay Fine,..
Maine Nhi Jana Abhi...Aana Tu hay ap ke pas,par Abhi Nahi.
Abhi Acha Lagne laga hay Sub Kuch...Ab kaho gey ke momin ke liye ye dunya azmaish hay,.Toobaa Tobba,.
Merey pe Kafir wala Fatva na Lagva daina ap,.Tabhi tu Secret rekha hay,,
Ap aur mein,.hum mein Chalta hay..
Abb App Ney agr Kuch Aesa Waisa Likha Huva Tha..
Tu Diwane Ki Diwaniyat ko Dekh ke Ap Abhi Naa,Ending
Zara Romantic likh do..
Zara Si Mohlat Do,Agley Likh doo..Bus koi 60 Saal.
Han Itne bhtt Hain..
Hamari Shaadi,Phir Bache .
Phir Unka school ..
Aur Phir meri retirement Aur Phir Bachon Ki Shaadi ..
Bus Qasim ke Bache Ko Dekh Lun Tab Tak.
Ab kaho gey Qasim kon,Qasim naam rekhun Ga na Munney kaa..
Theak hay Baqi ap Dekh lo abb Krna Kiya hay..
Waisey Tu Mera Irada Lamba rehne ka Tha, Borha ho Jana Maine Tu Mulaqat ko Bhi Dair na ho Jaya karey .
Ye Bhi Wjah hay Aur Tu Aur,Kamzor ho Jana Phir Zara Muskil ho Jati na..
Masjid Bhi Ghar Sy Door hay,Kuch 2km..
Haan Fareha,Ka Tu Kehna Bhul hi Geya Apko.
Wo na Merey Baad Jani Chahiye..
Kyon ke Uski judaii Bhi Tu Merey Liay Muskil Hogi.
Usy bus Merey Piche Piche Ley aana Merey pas..
Suna hay,Buhat Kamal kamal Ki chizain Hain Tumharey pas Hamarey Liye..
Mujhe Tu Whan Fareha Chahiye .Phir Baqi Chizain,
Kitna Lalchi Hun na mein...
Haan Horon ka Nahi hay Lalch Sachi,Bilkul Bhi nahi chaiye meri hoor bhut ...
Bus Wo Aur mein..
Aur Hamari Jannat....
Haan Uski Gaal pe wo Honton ke pas wala Til chahiye..
wo na bhulna,Remove Nahi Krna Mujhe buhat Psnd hay..
Hann Haan.
Abb Apko Tu Fareha Ki bhi man,Ni Hogi na...
Koi naa Usy Tu ap Zara Madad Krna mein yunn,Yunn Chutki mein mana Lun Gaa..
Acha Ab mein jane Laga..
Phir Hoti Mulaqat,Phir Krte Baat....
.....
Sorry Pakki Sorry Galti Sey Touch Hogeya,.
Wo mein Usy Bula ke Kehne Laga Tha ke Khala Bula Rahi,Aur bulate bulate Lag Geya.
Par Allah Gi,
Ho Ap bare Taiz...
Ap Baat Bnane Lage ho..
Baat ban Rhi Hay,..
Abb aaya hun,Abhi Thori Baat Kar Lun Phir Subha Mil ke Btaioun Ga Baqi Soretehal..
Maine na Uski Ankhain Nahi Dekhi,Kiya Pata UN mein Muhabbat ka Jazba Tha ke Ni..
Agr Ni hay na,Tu Baqi Tu ap,Samajdar Ho...
Baqi Bhi Fir Sub acha Acha Kar Dein Naa,ISI Trha Holey holey Sey ....
.....
Ye Tu koi na Baat Huvi,Wo Kamina Junaid Bar Bar pas Aarha Tha Us ke..
Ab mein Kiya Smjhun.
Smj geya,Tabhi mein sochun itnii freedom kis ney dey rekhi hay,..
Us Ney Bhi, Kiya Baat Ki hay ap Sey ya Phir Yunhi Apko us Pe Pyaar Aarha Aur Usy us par Pyaar Aarha...
Dekh Lein App abb,Meine Btaii Thi sari Baat..
Haan Haan ap ab Khush Hojain,Ke Dekho Tu Kiya Haal Huva para Mera,..
Par koi Naa,Abb Dil mein dala hay na Merey Tu Kuch na Kuch Tu Krna pare Ga na Apko ab..Karo Bhaii Ab kuch..
Zara Dekho na Mera mamla..
Han pata Mujhe app masroof..
Abb mein Dekho comparison Kar ke dikhatta hun naa.
Ashraf Sahb,Wahi Sfaid darhi...
Haji namazi,
Tahajud guzar.
Unki manain ge,Appp.
Wo Tu ap ke pass aate Hain na buhat,..
Abb mein shifarish krvaioun Kiya UNki..
Nahi Naa Wo Bhi Nahi karva Skta,Kyon ke Ye Tu apki,Meri aur Uski baat hy...
Dekho na Abb Hamari discussion mein Wo hay ,par Wo Nahi hay na Abhi meri...
Kahi ye Baat Tu Nahi ke ap poora Qareeb nahi aane dey rahe isliye Kahi mein Dorr na ho Jioun..
Hamari Mulaqat kum Ho na jiay..
Aesa Nahi Hoga Naa.
APNI Tu Pakki wali hay na friendship, Tu naa abb,Dekh lo app.
Miltey Hain Phir ,,..
.....
Fahad Mila Ajj,Kehta hay ke Uski jo Mashoqaa hay, Wo Uski Baat Dehan Sey Nahi sunti....
Mujhe tu usi Waqt Apka Khayal Aaya,
Mein Uski Baat sth sth sun Rha Tha sth sth mein Soch Rha Tha ke ap Tu Sahi Kaan Laga ke Suntey hooo..
Acha hay Suna Karo..ab Aur Kon Suney Ga ap Nahi Suno ge Tuu...
Abhi Geya Tha mein us ke pass bus,Sub pass thy Tu bat hi Nahi Huvi,Balqee Maine Chaha Bhi Nahi,Yhan tak ke Dekh Bhi Nahi saka,Pass log thy na.
Abb Mehboob ko Sub ke Samney Dekhun,Ye Tu khuli Besharmi Huvi Naa..Par isy Ishq muhabat bhi tu kehtey hain ye Writer Log.,
Acha Naa,Abb Mehboob Sey Mera Dosra Mehboob jealous Nahi Hojiay Kahi..
Ye na ho Banti Baat bigar Jiay..
Help me Naa..
Usy Pass laio na.
Jaisey mein khicha Jata hun,Us ke pass..
Usi trha Wo Bhi Tu Aaiay na Merey pas khichi khichi..
Haan Zara Si Baat Kar Ley Aage Sey mein Kar Lun Gaa..
Bus Shru Wo kare,
Wo kare Gi Lage Ga Uski Raza hay.
Werna Mein Tu Khoshish hi kar Skta Hunn...
Lgaio koi Jugar..
Koi Tarkeeb,Tartib bnaio appp....
.....
App Thori Thori Kar ke, Kar rhe Ho Shafqat ye na ho Kahi Meri Ik tarfa, Ik tarfa hi reh Jiay..
Zara Abb app rafta Rafta raftaar barha Dein .
Kaha Bhi Tha Apko ke us ke Dil mein Bhi Jagah Dalain,
Agr mein Us ke Barey mein Har waqt Sochta hun,Wo Bhi Zraa Zara Sa Thora Thora Sa Tu Soche ...
Acha Abb mein. Jane Laga Phir Milta hunn..
Theak Hay,.Aata hun Phirr....
.....
AJ Huvi Phir Baat Kehne Lagi,
Ye Lo Pani ka Glass Aur Chachu Ko Jake pilaio..
Abb Kiya,Kiya Socha Tha ke Pehli Dafa Baat Hogi Tu Baat Pe Baat Karon Gaa..
Kitney Shey-her Zubani yaad Kiye huvvey thy..
Tab Tu Huva nahi kuch abb ap hi sunoo...
Sad waley,.Sunaioun,..
khair rehne Daita hun,.,Thank You For Everything,And I love You...
Thanks Again .....
Agli Dafa Aaioun Ga Phir Btaioun Ga Kiya Haalat Hain..
Baat Huvi ya ,na Huvi,,Soretehal Sey aagah Kron Ga Apko Phir...
.....
AJ Tu Phir Maine Ankhain Bhi Dekh lii Kiya yar kitne Creative hoo tum,Impress hogeya mein tu, Itni creativity.
Mein Tu Berey Wala Fan Hogeya Tumhara..
Matti Khan sey laitey ho,Kaisey tarash-tey ho tum,.itni Brabr Aur perfect palkain.
Aur Kiya Hi Kamal Kar Diya Tum Ney Tuu.
Acha Na Abb Nraz Nahi hona Mujh Sey bus Thora Sa tu Dekha Tha ..
Sachi Thora Sa...
Abb Apko Chahiye,Ap Krain Kuch Jaldi Jaldi,Acha Thora Sa Waqt Ley lein takee Sub Achey Sey ho.
Abb bar Baar Sorry Karta Banda Acha tu Nahi na Lagta..
Ap Kaho Ge,Roz Hi Kuch na Kuch garhbarh Kar Aata Phir Kehta Sorry..
Ap ke sth Tu ye Chalta hi Rahe Ga.Mein karun ga garhbarh aur Ap karo gey maaf.
Ab Khata-ioun ka Putla Bhi Tu ap Ney hi Bnaya,
Dekho Tuu kinaa Kamzor Hun mein..merey qabuu mein kambakht mera dil hi nahi,.Dharkatey hoo,tum tu dharakta hay,Werna kabhi dharkna band hogeya,.Mera tu
transformer urh jana...
Acha Abb Tu Mann gey ho na app.
Mein Aata hun Phir Krte Baat....
.....
Acha mein Apko Btane Laga Tha ke aj Kiya Huva..
Fahad ki shaadi ki video dekh rhey thy sub,
Aur Sehn mein thi,.
Bari Himat kar ke,
Maine Hath pakra Wahi Sey jhan Sey,..
Bazu Shru Hota na Whan Sey..
Itney Qareeb sey,Asey Hairat Sey Dekh Rhi Thi na Mujhe.Jaisey 760rupee udhaar ley ke main Bhag geya tha,2 saal baad jaisey phir sey samney aaya hun,
Ab 240 rupee aur udhaar mang raha hun,Wo Ankhon sey
Swaal krti hay,Aur Ankhon sey Jawab Daiti hay....
Bin boley hairat sey kehne lagi,kiya Hay,,.
Maine Kaha ke,Meri Zindagi Ki Tum Pehli LRki ho Jis pe Kambakht ye Dil Aageya hay,Kambakht dil pe hath rekh ke dekho,tumharey naam ki Tasbih prhne laga hay,
AB tum hi btaio iska kiya karon..
Tum Wo Ho,Jis ki Talash Thi,meri Talash Tum pe khatam..
Itni Achi lag Gi ho tum ke abb Aur koi acha Lagtaa hi nahi,.
Aur uski Akhain Bhut sarey swaal kiye jarhi thi,Mujhe kuch smj hi nahi aarhe thy uske swaal.,Socha btata hun,,Kuch aesa ke kahe,lrka tu kaam ka hay,.
Mein Abhi Bankari Prh rha Hun,Pehla Saal Chal Rha,..
3 Saal aur Hain.
Merey hisssey mein Bhn bhaiyon Ki taqseem ke Baad Itni aajiay Gi ,Jis Sey Neeli Chat waley Ney Chaha hum Acha Guzara Kar Skain....
Par Guzara Krna kissy Hy.
Upr waley Ney Chaha Dekhna mein lg Jioun Ga Khi...
Sub Acha Hoga..
Shaadi Karo Gi Mujh Sey....
Boli hi Nahi Kuch.
Hath chura ke Chali Gii..
Isey han Smjhun ya Phir na..
Ab ap hi Btaio.
Banda Btata Tu hay .
Acha Ap Ko Tu Pata Hoga na Sub ka Sub Kiya Tha, Aur hay.
Waqif ho ap Tuu in Haa-laat Sey ...
Acha AJ mein Bhut Preshan Sa Tha, Ajj hun ap ke pas hi..Batain krtey Hain..
Abb Btaian. ishara Tu dey hi Dain na app.
No Nahi na Honi Chahiye..
Smjhain nah Muhabbat Sey ab lag Rha Baat Brh ke Ishq tak chali gi hay.
Mamla Bht serious hay...
Zara Review Kar ke hi Faisla Karna ap ..
Agr Kar Liya phir Bhi badal Daina app...
Abb Baat BNA Do Zara appp.. ...
Ab Baat bane Gi Phir mein Maa Baap Sey Bhi Baat Karon..
Unhain Bhi Tu Razi Karna hay is Liay..
Ab Tu App Krain Kuch...
Dobara aaioun Tumharey pas,tu merey pas khush-khabri honi chahiye...
.....
Aj wo merey khaab mein aaii,.merey sath thi wo,
Maine Kaha Aj Kal Barey Haseen ahtefaq Kar rha Hay Merey Sth Neeli Chath Waly..
Acha Lag Rha hay Mujhe buhat...
Hum Aasman Niche Bethy thy,Wahi tumharey wala neela,us waqt kaala tha. Taree gintey Huvey
uske Baalon mein Sey Ik lit uski Ankhon Samney Aaii tu maine ungli Sey uske kan Piche kr di...
Chand tu aasman par tha,uske chehrey ka Til asey Chamak raha tha,Jaisey Aasman pe Chand sey sub sey door wala Taraa..,
Khush tu huva dekh ke khaab magar zaara sa preshan bhi hun.,To kiya irada hay,.btaio bhi,.Wait nahi hota merey sey itna..
Acha theak,.na btaio,phir hoti mulaqat...
....
Side B — Coming Soon.